kehtey hain barey fakhar se hum gham nahi kartey

kehtey hain barey fakhar se hum gham nahi kartey
mattam ki sadda suntey hain mattam nahi kartey
woh log bhalla samjhain gay kya ramz e shahadat
jo eid to kartey hain muharram nahi kartey
kiyun aap ka dil jalta hai kiyun jalta hai seena
hum aap k seenay pe to mattam nahi kartey
salman yeh maqbool riwaeyat hai jahan main
qatil kabhi maqtool ka mattam nahi kartey.