La Ila Haa Illallahu Muhammdur Rasoolullahi Aliyun Waliyullahi Wasiyyu Rasulillahi Wa Khalifatuhu Bila Fasl
Salam Ya Moula Babul Murad Moula Ali Asgar a.s
Kerbala Ki Surah-e-Kausar
Kehnay Ko Mera Aaj Ka Unwaan Hai Asghar
Lekin Mere Adraak Ki Pehchaan Hai Asghar
Mana K Qalam K Liye Zeeshan Hai Asghar
Kis Tarah Se Likhun Mera Irfaan Hai Asghar
Mujh Pe Mere Malik Ka Ye Ehsaan Bara Hai
Jo Kuch Mere Pass Hai Wo Asghar Ki Atta Hai
Jab Ibn Wali Dasht Mai Aaye Thay Adan Se
Guul Chayn Nay Chuna Tha isay Masoom Chaman Se
Kuch Din Ka Hee Lay Aaye Thay Shabbir Watan Se
Samjho Kabhi Masoom K Masoom Chalan Se
Asghar K Bina Shah Ka Chara Bhi Nahi Tha
Khaliq Ki Zarurat Ka Guzara Bhi Nahi Tha
Shah’on Ka Shehnshah Tha Mere Shah Ka Bacha
Jis Raah Pe Ahmed Thay Us Hee Raah Ka Bacha
Har Haal Mai Toheed Se Aagah Ka Bacha
Lo Aagaya Maidaan Mai “6″Maah Ka Bacha
Besheer K Betaab Rawaye Se Ye Tay Hai
Is Umar Ka Kiya, Umar To Bekar Ki Shay Hai
Jis Nay Bhi Musibat Mai Ye Naam Alapa
Choton Ko Diya Hai Is Hee Chotay Nay Baraapa
Sheeshmahay Badan Mai Kaee Sadiyon Ka Saraapa
Aanay Na Diya Lafz e Ali Pe Bhi Bhuraapa
Maidaan e Shahadat Mai Ye Jurrat Ka Walli Hai
Hadd Ho Gae Asghar Se Hee Pehlay Ye Ali Hai
” HAZRAT ALI ASGHAR a.s KA KHITAAB ”
Karna Na Gunahon Ki Koi Chaap Faramoush
Ho Payega Tum Se Na Kabhi Paap Faramoush
Tareekh Se Ho Jao Ge Tum Ap Faramoush
Shabbir Ka Dushman Hai Faqat Baap Faramoush
Al ilm Se Takra K Jahalat Mai Na Parna
Mumkin Hee Nahi Bandon Ka Allah Se Larna
Kis Shaan Se Hum Aalm e Emkaan Mai Aaye
Ehsaan Kiya, Surat e Insaan Mai Aaye
Ayat Ki Surat Mai Kabhi Quraan Mai Aaye
islam Seekhanay Kabhi Maidan Mai Aaye
Such Ye Hai K Ye Such Tumhain Bhulay Ki Tarah Hai
Maidaan Humaray Liye Jhulay Ki Tarah Hai
Baba Mujhe Le Aay Hain Zeeshan Samjh Kar
Ummat K Liye Khuld Ka Saman Samjh Kar
Mat Reham Karo Tum Mujhe Quraan Samjh Kar
Naadaan Na Ban na Kahin Naadan Samjh Kar
Akhir Mai Jo Aaya Hun, Samjhtay Ho Mai Kiya Hun???
Asghar Hun Magar Jang Mai Akbar Se Bara Hun
Ye Dasht Ye Paani, Ye Zameenen Ye Ghizaaen
Saanson Ka Haseen Rizq, Ye Mehmeez Hawaaen
Suraj Ki Tapish, Chand Ki Pur Kaif Addaaen
Mehroom Raho, Hum Se Agar ezn Na Paayen
Maalum Hai Sab Kuch Tumhain Ku Daal Rahay Hain
Har Qoum Ko Ek “Hurr” K Liye Paal Rahay Hain
Tum Kartay Ho Masmoom Hawaon Ko Mehmeez
Hum Log Bhi Kar Detay Hain Rehwaar Karam Taiz
Socho Kabhi Larr Saktay Hain Kiya Banjar o Zar’Khaiz?
Labraiz Piyasay Ho, To Hum Piyaas Se Labraiz
Dhundain Hain Tumharay Liye Bakhshish K Sabab Kiya
Hum Paani Se Pehlay, Humain Paani Ki Talab Kiya
Main Apny Zamanay Ka Ali Bhej Raha Hun
Mola Hussain Ne Mola Abbass Ki Shan Me Maidan-e-Karbala Me Farmaya:
Paiman-e-Anwar-e-Jali Bhej Raha Hun
Main Khud Hun Wali Or Wali Bhej Raha Hun
Tum Ne Mujhe Is Dor Ka Samjha Hay Muhammad(saww)
Main Apny Zamanay Ka Ali Bhej Raha Hun
Meri Najaat ka Zaamin Hussain(as) hay
Kashti Bhanwar mein ho to Kinara Hussain
(as) Hay
Haidar(as) ka Aftab hai Zehra(sa) ka
Maahtab
Hurr(as) ke naseeb ka to sitara Hussain(as)
Hay
Ye Phool teesra hai Imamat ki Shaakh par
Jis ko Nabi(saww) parhein w...o Sipara
Hussain(as) Hay
Taa Hashr ye Khayal mere Dil ka Chain
hai...
“Mohsin” Meri Najaat ka Zaamin Hussain(as)
Hay
AHLEBAIT a.s KE DUSHMANO PER LANAT
"Ahl e Bayt (as) K Dushmano'n Per Lanat Bhejne Wale Ki Awaz Jab Malaika Tak Pohanchti Hai To Wo Sab Uss K Liye Astaghfar Karte HaiUski Tareef Karte Hai Aur Kehte Hai K Allah Tu Apne Iss Bande ParNaimatain Nazil Farma Jis Ne Tere Auliya Ki Nusrat Ki Koshish KiHai,
Agar Iss Se Ziyada Iss Me Nusrat Karnay Ki Qudrat Hoti To Ye IssSe Ziyada Nusrat Karta"
Ref: { Bihar ul Anwaar, 9_260 }
AHLEBAIT a.s KE DUSHMANO PER LANAT BESHUMAAR TA QAYAMAT LAGATAR LANAT
Murtajiz
Shabbir(as) ka rehwar hun Mai..
Noor_e_Awwal ki qasam
shamil_e_Anwar hun Mai..
Khud wafadar ye kehte hai wafadar hu Mai..
Jitne rehwar hain sab ka
Alambardar hu Mai..
Jab se AllaH Ne is dar ki
ghulami di..
Mujhko farishton Ne jhuk
jhuk ke salami di..
Dana Shehzadi(sa) Ne daman
Me khilaya hai Mujhe..
Pani Saqa_e_Sakina(sa) Ne
pilaya hai Mujhe..
Zamane ko agar Rasool s.a.w . . .
To Q Sajde Mai ALI Pe Waar Hota,...
Na Padtey Durray FATIMA Ki Peeth Par Na Chehra Tamachon Se Laal Hota...
Mil Jati HASAN Ko NANA K Pehlu Mai Jagah...
Zamana Agar MUHAMMAD Ka Wafadar Hota...
Na Hota Pamaal yun Ghar FATEMA Ka KARBALA Mai...
Na HUSSAIN K Hulqoom Pr Khanjar rawa Bar Bar Hota...
Na Looti Jati ZAINAB O KULSOOM Ki Rida...
Na Zanjiron Mai Jakra ABID.E BEEMAR Hota...
Na Barchi Lagti AKBAR K Seenay Mai ...
Na Qasim Ka SEHRA Taar Taar Hota.
Na Cheeni Jati SAKINA K Kaanon Se BaliyanNa Teer ASGHAR K Galay Se Paar Hota!
Zamane ko agar Rasool se pyar hota. . .
AZA E SHAH KE TAHAFFUZ KA JAB SAWAL AAYAA,
Sayings of Prophet (SAWA)
Abbas Abbas Abbas..as
Aks e Haider ki tara, Fauj e Islam ke salar…
Abbas Abbas Abbas...as
Sheh ka woh noor e nazar, Bani Hashim ka qamar
Farzand e Ahmed e Mukhtar…
Abbas Abbas Abbas..as
Ka'abay se jo niklayga Aashor ka juloos
Hoga Alam bhi Ghazi(a.s) ka Mehdi (a.s) ke haath mein
Lamha wo kaisa ho ga hamari hayat mein
Matam karen Shah(a.s) ka Mehdi(a.s) ke saath mein
Nikla na hoga aisa kabhi noor ka juloos
Ka'abay se jo niklayga Aashor ka juloos.