Hazrat Jibrael a.s ki Hazoor (s.a.w.w) ko saat (7) taaqeeden
"Hazrat Muhammad Mustafa (s.a.w.w) ne farmaya ke :
1- Jibrael Ameen ne mujhe aurton ke muta'aliq itni taaqeed ki, yahan tak ke mujhe guman hua ke woh talak ko haraam qaraar den gay.
2- Ghulamon ke liye mujhe itni taqeed ki gay yahan tak ke mujhe guman hua ke woh unki azaadi ka aik waqt muqarar kar den gay.
3- Mujhe hamsayon ke haqooq ke muta'aliq itni taqeed ki yahan tak ke men samjha ke woh ussay waris bana den gay.
4-Mujhe maswaak ke muta'aliq itni taqeed ki ke mujhe farz ka guman honay laga.
5- Namaz e Jamaat ke muta'aliq mujhe itni taqeed ki ke mujhe guman honay laga ke Allah ko bager Jamaat ke namaz qabool hi nahi hai.
6- Zikr e Elahi ke liye unhon ne mujhe itni taqeed ki ke mujhe guman honay laga ke is ke ilawa koi baat hi nahi karni chahyeh.
7- Ebaadat Shab ke liye mujhe itni taqeed ki ke mujhe guman honay laga ke raat ki neend hi najayz hai.
Ref: Hadyat ul Shia; Pg: 406