Kerbala Ki Surah-e-Kausar
Kehnay Ko Mera Aaj Ka Unwaan Hai Asghar
Lekin Mere Adraak Ki Pehchaan Hai Asghar
Mana K Qalam K Liye Zeeshan Hai Asghar
Kis Tarah Se Likhun Mera Irfaan Hai Asghar
Mujh Pe Mere Malik Ka Ye Ehsaan Bara Hai
Jo Kuch Mere Pass Hai Wo Asghar Ki Atta Hai
Jab Ibn Wali Dasht Mai Aaye Thay Adan Se
Guul Chayn Nay Chuna Tha isay Masoom Chaman Se
Kuch Din Ka Hee Lay Aaye Thay Shabbir Watan Se
Samjho Kabhi Masoom K Masoom Chalan Se
Asghar K Bina Shah Ka Chara Bhi Nahi Tha
Khaliq Ki Zarurat Ka Guzara Bhi Nahi Tha
Shah’on Ka Shehnshah Tha Mere Shah Ka Bacha
Jis Raah Pe Ahmed Thay Us Hee Raah Ka Bacha
Har Haal Mai Toheed Se Aagah Ka Bacha
Lo Aagaya Maidaan Mai “6″Maah Ka Bacha
Besheer K Betaab Rawaye Se Ye Tay Hai
Is Umar Ka Kiya, Umar To Bekar Ki Shay Hai
Jis Nay Bhi Musibat Mai Ye Naam Alapa
Choton Ko Diya Hai Is Hee Chotay Nay Baraapa
Sheeshmahay Badan Mai Kaee Sadiyon Ka Saraapa
Aanay Na Diya Lafz e Ali Pe Bhi Bhuraapa
Maidaan e Shahadat Mai Ye Jurrat Ka Walli Hai
Hadd Ho Gae Asghar Se Hee Pehlay Ye Ali Hai
” HAZRAT ALI ASGHAR a.s KA KHITAAB ”
Karna Na Gunahon Ki Koi Chaap Faramoush
Ho Payega Tum Se Na Kabhi Paap Faramoush
Tareekh Se Ho Jao Ge Tum Ap Faramoush
Shabbir Ka Dushman Hai Faqat Baap Faramoush
Al ilm Se Takra K Jahalat Mai Na Parna
Mumkin Hee Nahi Bandon Ka Allah Se Larna
Kis Shaan Se Hum Aalm e Emkaan Mai Aaye
Ehsaan Kiya, Surat e Insaan Mai Aaye
Ayat Ki Surat Mai Kabhi Quraan Mai Aaye
islam Seekhanay Kabhi Maidan Mai Aaye
Such Ye Hai K Ye Such Tumhain Bhulay Ki Tarah Hai
Maidaan Humaray Liye Jhulay Ki Tarah Hai
Baba Mujhe Le Aay Hain Zeeshan Samjh Kar
Ummat K Liye Khuld Ka Saman Samjh Kar
Mat Reham Karo Tum Mujhe Quraan Samjh Kar
Naadaan Na Ban na Kahin Naadan Samjh Kar
Akhir Mai Jo Aaya Hun, Samjhtay Ho Mai Kiya Hun???
Asghar Hun Magar Jang Mai Akbar Se Bara Hun
Ye Dasht Ye Paani, Ye Zameenen Ye Ghizaaen
Saanson Ka Haseen Rizq, Ye Mehmeez Hawaaen
Suraj Ki Tapish, Chand Ki Pur Kaif Addaaen
Mehroom Raho, Hum Se Agar ezn Na Paayen
Maalum Hai Sab Kuch Tumhain Ku Daal Rahay Hain
Har Qoum Ko Ek “Hurr” K Liye Paal Rahay Hain
Tum Kartay Ho Masmoom Hawaon Ko Mehmeez
Hum Log Bhi Kar Detay Hain Rehwaar Karam Taiz
Socho Kabhi Larr Saktay Hain Kiya Banjar o Zar’Khaiz?
Labraiz Piyasay Ho, To Hum Piyaas Se Labraiz
Dhundain Hain Tumharay Liye Bakhshish K Sabab Kiya
Hum Paani Se Pehlay, Humain Paani Ki Talab Kiya