Sayings of our Prophet s.a.w.w and Imams a.s on IMPORTANCE OF NAMAZ:


Holy Prophet(saww): "Meri aankhon ki thandak or roshni NAMAZ hai. NAMAZ mujhe aisi mehboob hai jaise bhukha khane ko or pyasa pani ko dost rakhta hai."
(RUHUL-HAYAT, 282)

Imam Ali(a.s): "Khudara!! Khudara!! NAMAZ ka khayal rakho, kyunke ye tumhare deen ka sutoon(pillar) hai."
(NAHJUL BALAGHA)

Janabe Fatema Zahra(s.a): "Khuda wand-e-aalam ne NAMAZ ko tumhare liye takabbur se doori karar diya hai."
(AYAN-US-SHIA, V-1, pg-316)

Imam Hasan(a.s): "Aur jo shaks sajde shukr kar raha hai iske liye munasib hai ke woh apni kohniyo(elbow) or apne seene(chest) ko zameen se mila de."
(Man La Yahzarul Faqih)

Imam Husain(a.s): "Talwaar se zyada tez waar mujh par us shakhs ke aansoo karte hain, jo meri musibat par rota to hai magar NAMAZ nahi parhta"
(Bihar al-Anwar)

Imam Sajjad(a.s): "Jo aukat-e-namaz ki pabandi karega deenvi lazzat iski nazar me naqis(abortive) honge."
(AS-SHAFI, V-2)

Imam Baqir(a.s): "NAMAZ me khuda ki taraf tawajjo rakho isliye k namaz se wahi miqdar qubool hoti hai jitni tawajjo namaz me hoti hai"
(ISRAR-E-NAMAZ, pg.89)

Imam JAFAR SADIQ(a.s): "Shadi shuda ki 2 rakat NAMAZ gair shadi shuda ki 70 rakat namazo se behtar hai."
(ROOHUL HAYAT, pg.297)

Imam MUSA KAZIM(a.s): "Khuda ki marefat k baad sabse afzal cheez se banda khuda se takarrub kar sake wo NAMAZ aur waledain k sath neki hai."
(Tohful Okool)

Imam ALI REZA(a.s): "Us shakhs k liye khatra hai k salamat na rahe, jo roze juma namaz-e-juma adaa karne se pehle safar kare."
(Masjid, pg.92)

Imam JAWAD(a.s): "Dil se khuda ka qasd karna (aamaal me), badan ko takleef dene se zyada behtar hai."
(Nokushe Ismat/pg:581)

Imam ALI(a.s): "Juma k din us waqt tak safar na karo jab tak Namaz-e-Juma adaa na kar lo."
(MASJID, pg.92)

Imam Hasan Askari(a.s): "Roza va Namaz ki kasrat ibadat nahi hai, balke amr-e-khuda ke bare me gaur-o-fikr karna ibadat hai."
[Tohful Oqool, pg-488]

Imam Mahdi(atfs): "Namaz se zyada Shaitan ke naak(nose) ragadne wali koi cheeze nahi hai, lehaza NAMAZ padho aur Shaitan ki naak ragdo."
[Biharul Anwar, V53, pg.182]